gar jazba-e-vahshat kā ai dil yahī unvāñ hai
do roz kā dāman hai do din kā garebāñ hai
hañsne meñ ki rone meñ marne meñ ki jiine meñ
ma.alūm nahīñ kis meñ ḳhushnūdī-e-jānāñ hai
ham vahshiyoñ kā maskan kyā pūchhtā hai zālim
sahrā hai to sahrā hai zindāñ hai to zindāñ hai
zindāñ meñ ḳhayāl itnā ai dast-e-junūñ rakhnā
tā-umr asīrī hai aur ek garebāñ hai
allāh zamāne ke dil ko rakhe qaabū meñ
ham jānte haiñ manzar kyuuñ chaak garebāñ hai