Yaqoob Tasawwur

har ek gam pe ek but banana chaha hai

Yaqoob Tasawwur

Lucknow, Uttar pradesh, India

1945
har ek gaam pe ik but banānā chāhā hai
jise bhī chāhā bahut kāfirāna chāhā hai
hazār qism ke ilzām aur ḳhāmoshī
ta.alluqāt ko yuuñ bhī nibhānā chāhā hai
girā.e jaane lage haiñ daraḳht har jānib
ki maiñ ne shāḳh pe ik āshiyāna chāhā hai
hai kyuuñ adāvat-e-aġhyār hī kā zikr yahāñ
chaman to ahl-e-chaman ne jalānā chāhā hai
hisār-e-nafrat-e-daur-e-jadīd meñ dil ne
mohabbatoñ kā purānā zamāna chāhā hai
ḳhudāyā dasht-navardī kā shauq hai kis ko
musāfiroñ ne faqat āb-o-dāna chāhā hai
chaman meñ phuul 'tasavvur' khileñ har ik jānib
isī sabab se to sahrā basānā chāhā hai
Top Urdushayar.com