rū-ba-rū but ke duā kī bhuul ho jaa.e to phir
aur phir vo hī duā maqbūl ho jaa.e to phir
maiñ baḌhā.ūñ haath jis kāñTe kī jānib shauq se
haath meñ aa kar vo kāñTā phuul ho jaa.e to phir
bādbānoñ par havā ho mehrbāñ aur daf.atan
TukḌe TukḌe naav kā mastūl ho jaa.e to phir
nafrateñ be-zāriyāñ buġhz-o-ta.assub dushmanī
zindagī kā bas yahī ma.amūl ho jaa.e to phir
qātiloñ ko kar diyā jaa.e barī ilzām se
vājib-e-ta.azīr ḳhud maqtūl ho jaa.e to phir
lamha lamha manzileñ hotī chalī jaa.eñ ba.iid
aur qismat rāste kī dhuul ho jaa.e to phir
hāl-e-dil apnā bayāñ karne kī ḳhvāhish hai magar
kuchh tavajjoh aap kī mabzūl ho jaa.e to phir