Yaqoob Tasawwur

mere chaaron taraf ek aahani diwar kyun hai

Yaqoob Tasawwur

Lucknow, Uttar pradesh, India

1945
mire chāroñ taraf ek āhanī dīvār kyuuñ hai
agar sachchā huuñ maiñ sach kā muqaddar haar kyuuñ hai
nishāt-o-imbisāt-o-shādmānī ziist Thahrī
to batlā.e koī jiinā mujhe āzār kyuuñ hai
masāfat zindagī hai aur duniyā ik sarā.e
to is tamsīl meñ tūfān kā kirdār kyuuñ hai
jahāñ sach kī pazīrā.ī ke da.avedār haiñ sab
usī bazm-e-suḳhan meñ bolnā dushvār kyuuñ hai
yaqīnan hādse bhī juzv-e-ḳhās-e-zindagī haiñ
hamārā shahr hī in se magar do-chār kyuuñ hai
mirī rāhoñ meñ jab hote nahīñ kāñTe 'tasavvur'
maiñ Dar kar sochtā huuñ rāsta hamvār kyuuñ hai
Top Urdushayar.com