gardish-e-muqaddar kā silsila jo chal jaa.e
dūsrā itaab aa.e ik balā jo Tal jaa.e
hujra-e-garebāñ meñ har javāb raushan hai
bas zarā nigāhoñ kā zāviya badal jaa.e
āñsuoñ ke bahne kā ye asar to hotā hai
ġham zarā sā Dhal jaa.e dil bhī kuchh sambhal jaa.e
mas.aloñ kī gutthī bhī yuuñ kahāñ sulajhtī hai
ik sirā jo haath aa.e dūsrā nikal jaa.e
is adā ko kyā kahiye vo paḌos se aa kar
gul na.e sajā jaa.e chādareñ badal jaa.e
kyā ajab tasavvur hai ham talab ke māroñ kā
hiddat-e-tamannā se āsmāñ pighal jaa.e