darūn-e-halqa-e-zanjīr huuñ maiñ
shikasta ḳhvāb kī ta.abīr huuñ maiñ
mujhe hairat se yuuñ vo tak rahā hai
ki jaise maiñ nahīñ tasvīr huuñ maiñ
mirī bāteñ to zahrīlī bahut haiñ
magar tiryāk kī tāsīr huuñ maiñ
maiñ zinda huuñ hisār-e-behisī meñ
mohabbat kī na.ī tafsīr huuñ maiñ
ik aa.ina bhī huuñ aur aks bhī huuñ
ki shahr-e-sañg kā rah-gīr huuñ maiñ
namāz-e-shab kā sajda huuñ 'tasavvur'
azān-e-sub.h kī takbīr huuñ maiñ