Kabeer

haman hain ishq mastana haman ko hoshiyari kya

Kabeer

Banaras, Uttar pradesh, India

1440-1518
haman haiñ ishq mastāna haman ko hoshiyārī kyā
raheñ āzād yā jag se haman duniyā se yaarī kyā
jo bichhḌe haiñ piyāre se bhaTakte dar-ba-dar phirte
hamārā yaar hai ham meñ haman ko intizārī kyā
ḳhalaq sab naam apne ko bahut kar sar paTaktā hai
haman gar naam sāñcha hai haman duniyā se yaarī kyā
na pal bichhḌeñ piyā ham se na ham bichhḌe piyāre se
unhīñ se neh laagī hai haman ko be-qarārī kyā
'kabīrā' ishq kā maatā duī ko duur kar dil se
jo chalnā raah nāzuk hai haman sar bojh bhārī kyā
Top Urdushayar.com