Shoque Moradabadi

zabt ki had se bhi jis waqt guzar jata hai

Shoque Moradabadi

Lahore, Punjab, Pakistan

1920-1988
zabt kī had se bhī jis vaqt guzar jaatā hai
dard hoñToñ pe hañsī ban ke bikhar jaatā hai
rañg bhar jaatā hai phir ishq ke afsāne meñ
ashk ban ban ke agar ḳhūn-e-jigar jaatā hai
aaj tak ālam-e-vahshat meñ piye jaate haiñ
kitnī muddat meñ ghaTāoñ kā asar jaatā hai
jaam pī lete haiñ sab dekhnā hai zarf magar
kaun kis vaqt uThā aur kidhar jaatā hai
daur-e-vahshat meñ mohabbat meñ junūñ meñ insāñ
jo na mumkin ho kisī taur vo kar jaatā hai
apne begānoñ se kuchh besh the āzārī meñ
baat rah jaatī hai aur vaqt guzar jaatā hai
kitnā be-ḳhauf ho be-dard na kyuuñ ho āḳhir
aa.ina dekh ke a.amāl se Dar jaatā hai
vaqt kaT jaa.e agar ālam-e-tanhā.ī meñ
dil meñ ehsās-e-mulāqāt hī mar jaatā hai
vo jo duniyā kī haqīqat ko samajh le insāñ
apnī manzil kī taraf sīna-sipar jaatā hai
ālam-e-nāz meñ kuchh bhī to nahīñ tere sivā
ik tasavvur hai jo tā-hadd-e-nazar jaatā hai
saiñkaḌoñ daaġh chamakte haiñ tah-e-qalb ai 'shauq'
kitnī gahrā.ī meñ uf aks utar jaatā hai
Top Urdushayar.com