hai soz-e-dil se sāmāñ raushnī kā
ye hāsil kam nahīñ dil kī lagī kā
vahī rāheñ akelī aaj phir maiñ
bharam sab miT gayā hai dostī kā
ye tanhā.ī ye āzādī kā aalam
maza aane lagā hai zindagī kā
jahāñ dil meñ simaTte jā rahe haiñ
tamāsha ho rahā hai be-ḳhudī kā
hazāroñ saaz dil meñ baj rahe haiñ
asar hone lagā hai bandagī kā
hamārī aaḌ le kar chhup rahe ho
khulā sab raaz ab parda-darī kā
farishtoñ se bahut uupar hai insāñ
bhalā jo chāhtā hai har kisī kā
tamannā hī rahī na 'shauq' koī
asar achchhā huā āvārgī kā