fā.eda kuchh nahīñ ishāroñ se
ham bahut duur haiñ kināroñ se
dil munavvar huā sharāroñ se
ham ko nisbat hai chāñd-tāroñ se
ḳhuub mahke ḳhizāñ ke mausam meñ
zaḳhm khaa.e the jo bahāroñ se
gulsitāñ aap ko mubārak ho
apnī azmat se reg-zāroñ se
phuul barse haiñ ba.ad marg un par
shaġhl karte rahe jo ḳhāroñ se
yaad phir rañg meñ nazar aa.ī
zindagī bhar ga.ī nazāroñ se
intizārī to jaan le letī
sabr miltā rahā sitāroñ se
koī āvāz jab nahīñ hotī
saaz bujhte haiñ dil ke tāroñ se
dil kī gahrā.iyāñ kahāñ tak haiñ
'shauq' pūchho ye ġham ke māroñ se