Shoque Moradabadi

jahan khinch rahe hain kisi ke asar mein

Shoque Moradabadi

Lahore, Punjab, Pakistan

1920-1988
jahāñ khiñch rahe haiñ kisī ke asar meñ
na jaane hai kitnā fusūñ us nazar meñ
tirī justujū hī mirī zindagī hai
mire naqsh-e-pā meñ har ik rahguzar meñ
mirī raah manzil ne kyuuñ rok lī hai
abhī lutf aane lagā thā safar meñ
zamīñ ban ga.ī āsmāñ ban ga.e haiñ
ḳhudā jaane kyā ḳhūbiyāñ haiñ bashar meñ
use dahr-e-fānī se phir kyā ta.alluq
muqaddar jise laa.e terī nazar meñ
rahā diin kā aur na duniyā kā āḳhir
ulajhtā rahā jo agar meñ magar meñ
vo zāhir se hī dekh letā hai bātin
ye ḳhūbī faqat 'shauq' hai dīda-var meñ
Top Urdushayar.com