gahrā.iyoñ meñ dil kī utartā chalā gayā
ġham tā-dam-e-hayāt nikhartā chalā gayā
yādoñ kī vādiyoñ meñ jahāñ rakh diye qadam
har naqsh zindagī kā ubhartā chalā gayā
lutf-o-karam kā daur bhī aayā to is tarah
jhoñkā havā kā jaise guzartā chalā gayā
sun lī agar kisī kī kabhī āh-e-dil-ḳharāsh
nashtar sā ek dil meñ utartā chalā gayā
āġhāz-e-ishq kī faqat itnī sī yaad hai
āñkhoñ se koī dil meñ utartā chalā gayā
ham bhī rāh-e-hayāt meñ chalte rahe magar
saaya sā jaise koī guzartā chalā gayā
dekhī nigāh-e-shauq meñ jab ġham kī dāstāñ
andāz-e-husn aur nikhartā chalā gayā
vo rafta rafta zindagī se duur kyā hue
ehsās zindagī kā bhī martā chalā gayā
duniyā-e-iltifāt simaTtī chalī ga.ī
shīrāza-e-hayāt bikhartā chalā gayā