mirī fitrat haqīqat-āshnā ma.alūm hotī hai
nazar paḌtī hai jis shai par ḳhudā ma.alūm hotī hai
sarāpā soz lekin jāñ-fizā ma.alūm hotī hai
sadā-e-sāz-e-dil haq kī sadā ma.alūm hotī hai
bahut ḳhush-zarf-o-ḳhush-bīñ hai fazā-e-vādī-e-ġhurbat
ba-zāhir hamdam-o-dard-āshnā ma.alūm hotī hai
ye kaisī zindagī hai ai asīr-e-dām-e-ḳhush-fahmī
jafā-e-bāġhbāñ bhī ab vafā ma.alūm hotī hai
maiñ us manzil meñ huuñ ab gām-farsā ai zahe-qismat
nigāh-e-rāhzan bhī rahnumā ma.alūm hotī hai
ye rañg-e-sher-goī raaz ye tarz-e-ġhazal-ḳhvānī
tirī fitrat haqīqat-āshnā ma.alūm hotī hai