Manzar Lakhnavi

ek neamat tere mahjur ke hath aai hai

Manzar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

-1965
ek ne.amat tire mahjūr ke haath aa.ī hai
iid kā chāñd charāġh-e-shab-e-tanhā.ī hai
qaid meñ bas ye koī kah de bahār aa.ī hai
phir to maiñ huuñ mirī zanjīr hai añgḌā.ī hai
kitnā dilchasp hai allāh mirā qissa-e-ġham
aaj koī nahīñ kahtā mujhe niiñd aa.ī hai
zahr aur zahr kī tāsīr batāne vaale
ab samajh le ki na saudā hai na saudā.ī hai
sub.h tak hogā mire ghar pe hujūm-e-ḳhilqat
raat kī raat faqat ālam-e-tanhā.ī hai
dāman-o-jeb-o-garebāñ bhī nisār-e-vahshat
ab kisī baat meñ zillat hai na rusvā.ī hai
do ghaḌī dil ke bahalne kā sahārā bhī gayā
lījiye aaj tasavvur meñ bhī tanhā.ī hai
muddateñ guzrīñ hameñ ashk bahāte 'manzar'
aaj ḳhud us ne hañsāyā to hañsī aa.ī hai
Top Urdushayar.com