ḳhudī kyā aur ḳhudī kā mudda.ā kyā
jo banda hai banegā vo ḳhudā kyā
kisī ḳhud-bīñ se hotā āshnā kyā
tujhe dekhā thā duniyā dekhtā kyā
qayāmat-ḳhez jis kī ibtidā ho
phir us kī intihā kā pūchhnā kyā
tire jalvoñ ne fursat hī nahīñ dī
maiñ nairañg-e-zamāna dekhtā kyā
tajallī raaz hai sahrā-e-hastī
harīm-e-husn kā parda uThā kyā
nazar meñ rakh tū apnī hadd-e-imkāñ
duā ko dekh tāsīr-e-duā kyā
karam-gustar faqīr-e-be-navā huuñ
faqīr-e-be-navā kā mudda.ā kyā
takalluf bartaraf maiñ saaf kah duuñ
vafā kyā aur paimān-e-vafā kyā
haqīqat khul ga.ī ai 'rāz' āḳhir
bharam thā 'qādrī' sāhab ko kyā kyā