Raz Chandpuri

dil-ruba bhi wo dil-nawaz bhi hai

Raz Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1892
dil-rubā bhī vo dil-navāz bhī hai
aur phir sab se be-niyāz bhī hai
rūh-farsā hai soz-e-ishq magar
mujh se pūchho to jāñ-navāz bhī hai
shikva-e-daur-e-āsmāñ hī nahīñ
apnī qismat pe mujh ko naaz bhī hai
kyā tamāshā hai mahfil-e-hastī
ik haqīqat bhī hai majāz bhī hai
jo ḳhudā se bhī kah nahīñ saktā
mere dil meñ nihāñ vo raaz bhī hai
kaun pūchhe ki hazrat-e-'sīmāb'
aap vāqif haiñ koī 'rāz' bhī hai
Top Urdushayar.com