sach to ye hai ki dīda-var ho tum
be-ḳhabar ham haiñ bā-ḳhabar ho tum
vāqif-e-rāz-e-ḳhair-o-shar ho tum
ḳhush-ḳhayāl aur ḳhush-nazar ho tum
āshnā-e-rumūz-e-kun-fa-yakun
rāz-e-hastī se bā-ḳhabar ho tum
jis se raushan hai matl.a-e-ummīd
shām-e-ġhurbat meñ vo sahar ho tum
kaun hai ye harīf-e-sho.ala-e-tūr
ai maiñ qurbān jalva-gar ho tum
dasht-e-ġhurbat meñ rāh-e-hastī meñ
maiñ samajhtā huuñ ham-safar ho tum
ek nisbat hai nisbat-e-mauhūm
be-navā maiñ huuñ tājvar ho tum
'rāz' do aib haiñ yahī tum meñ
sāf-go aur haq-nigar ho tum