rahzan nahīñ harīf nahīñ ham-safar nahīñ
rāh-e-talab meñ ahl-e-havas kā guzar nahīñ
ā.īn-e-bazm-e-dahr se tū be-ḳhabar nahīñ
lekin ḳhudā kā shukr ki maiñ kam-nazar nahīñ
husn-e-nigāh-o-kam-nazarī meñ ye farq hai
sab bā-hunar haiñ aur koī bā-hunar nahīñ
nashr-e-jafā-o-jaur bhī hai ik adā-e-ḳhās
husn-e-nigāh-e-lutf se maiñ be-ḳhabar nahīñ
nāzāñ haiñ apnī himmat-o-jur.at pe rāh-rau
īsār-e-rahnumā pe kisī kī nazar nahīñ
saaqī kī ek baat hai tafsīr-e-kā.enāt
tū kam-nazar nahīñ to koī kam-nazar nahīñ
apne ḳhulūs par hai mujhe 'rāz' e'timād
nashtar-zanī se ġhair kī maiñ be-ḳhabar nahīñ