taufīq agar rahbar-e-manzil nahīñ hotī
me.arāj-e-mohabbat kabhī hāsil nahīñ hotī
jo soz-e-mohabbat se na ho sho.ala-ba-dāmāñ
vo sham.a kabhī raunaq-e-mahfil nahīñ hotī
jo aañkh na ho husn-e-haqīqat kī shanāsā
vo dīd-e-ruḳh-e-yār ke qābil nahīñ hotī
jab tak na bhare rañg vafā mānī-e-fitrat
tasvīr-e-mohabbat kabhī kāmil nahīñ hotī
dilkash haiñ kuchh aise rah-e-ulfat ke manāzir
rahrav ko kabhī ḳhvāhish-e-manzil nahīñ hotī
gir paḌtā huuñ aksar maiñ rah-e-ishq meñ jis jā
ik marhala hotā hai vo manzil nahīñ hotī
nā-kām mohabbat huuñ maiñ ai 'rāz' to kyā ġham
ye baat bhī har ek ko hāsil nahīñ hotī