Raz Chandpuri

qissa-e-husn nahin ishq ki rudad nahin

Raz Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1892
qissa-e-husn nahīñ ishq kī rūdād nahīñ
haif ye bazm tire zikr se ābād nahīñ
morid-e-rañj-o-alam kushta-e-bedād nahīñ
vaa.e bar-aish jahāñ mujh ko ḳhudā yaad nahīñ
ham-safīrān-e-chaman vaah ye pursish ye karam
ab mujhe shikva-e-be-mehrī-e-sayyād nahīñ
maiñ huuñ nāshād-e-azal ḳhair magar hairat hai
ishrat-ābād-e-jahāñ meñ bhī koī shaad nahīñ
qissa-e-jaur-e-falak shikva-e-ayyām-e-zubūñ
ek afsāna hai jis kī koī buniyād nahīñ
sarfaroshān-e-mohabbat pe ḳhudā kī rahmat
mudda.ī sab haiñ magar ek bhī fariyād nahīñ
vaah ai manzar-e-ḳhush-vaqtī-e-manzil qurbāñ
dasht-e-ġhurbat kī masā.ib bhī mujhe yaad nahīñ
maiñ ḳhatāvār magar tere karam ke qurbāñ
ek majbūr to yuuñ mustahiq-e-dād nahīñ
'rāz' ye nāma-e-ahsan ye payām-e-izzat
vaa.e taqdīr ki maiñ aaj bhī āzād nahīñ
Top Urdushayar.com