Raz Chandpuri

dil ko harif-e-naz kiye ja raha hun main

Raz Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1892
dil ko harīf-e-nāz kiye jā rahā huuñ maiñ
har shai se be-niyāz kiye jā rahā huuñ maiñ
shukr-e-nigāh-e-nāz kiye jā rahā huuñ maiñ
fitrat ko kārsāz kiye jā rahā huuñ maiñ
hai justujū-e-sirr-e-haqīqat-ravāñ-faroz
rāh-e-talab darāz kiye jā rahā huuñ maiñ
duniyā ko de rahā huuñ sabaq husn-o-ishq kā
ifshā har ek raaz kiye jā rahā huuñ maiñ
hogā kabhī to husn-e-haqīqat nazar-navāz
nazzāra-e-majāz kiye jā rahā huuñ maiñ
nākāmī-e-umīd se ghabrā na jaa.e dil
qismat par apnī naaz kiye jā rahā huuñ maiñ
mahrūm rah na jaa.e koī tishna-kām 'rāz'
arzāñ sharāb-e-rāz kiye jā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com