nigāh-e-ishq meñ tābindagī nahīñ miltī
charāġh-e-husn se ab raushnī nahīñ miltī
sar-e-niyāz jhukā.egā kyā koī ḳhuddār
nigāh-e-nāz se jab daad hī nahīñ miltī
sharīk-e-dard-e-mohabbat koī nahīñ hotā
kisī se dād-e-mohabbat kabhī nahīñ miltī
nigāh-e-sāqī-e-rā.anā kā ye bhī ehsāñ hai
ba-qadr-e-zauq mai-e-āgahī nahīñ miltī
ye mai-kada hai yahāñ qaid-e-zarf-e-zauq bhī hai
ye kyā kahā ki mai-e-zindagī nahīñ miltī
ziyā-e-husn hai mahdūd bazm-e-imkāñ tak
phir is ke ba.ad kahīñ raushnī nahīñ miltī
bajā hai aap kā irshād māntā huuñ maiñ
kalām-e-'rāz' meñ ab zindagī nahīñ miltī