Manzar Lakhnavi

marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha

Manzar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

-1965
marg-e-āshiq par farishta maut kā badnām thā
vo hañsī roke hue baiThā thā jis kā kaam thā
ḳhūn-e-nāhaq se mukarne kā kahāñ hañgām thā
tiir jitne dil se nikle sab par un kā naam thā
kyā batā.ī jaa.eñ shām-e-hijr kī majbūriyāñ
dil hamārā thā na ham dil ke ajab hañgām thā
hijr kī do karvaToñ ne kar diyā qissa tamām
dard-e-dil āġhāz thā dard-e-jigar anjām thā
aise vaqtoñ meñ kaleja ġham se ho jaatā hai shaq
sabr apne dil kī mayyat par hamārā kaam thā
ahl-e-mahshar dekh luuñ qātil ko to pahchān luuñ
bholī bholī shakl thī aur kuchh bhalā sā saam thā
ab koī dīvāna kahtā hai koī vahshī mujhe
aap kī ulfat se pahle merā 'manzar' naam thā
Top Urdushayar.com