ishrat-e-hāl meñ andesha-e-fardā karnā
mere mashrab meñ nahīñ ye ġham-e-bejā karnā
fikr-e-anjām nahīñ farz kisī mai-kash par
haañ magar bāda-e-āġhāz kī parvā karnā
mahv-e-nazzāra zamāna hai magar hāsil-e-dīd
aisā āsāñ nahīñ duniyā kā nazārā karnā
hāsil-e-zīst hai kyā mai-kada-e-hastī meñ
talḳhī-e-bāda-e-ummīd gavārā karnā
dekh ai be-ḳhudī-e-shauq-e-parastish hoshiyār
husn-e-ḳhuddār ko mahfil meñ na rusvā karnā
laakh ma.ayūb na ho phir bhī nahīñ mustahsan
hazrat-e-dost meñ iz.hār-e-tamannā karnā
sau tarīqe haiñ parastish ke agar zauq ho kuchh
kyā baḌī baat hai koī use sajda karnā
tark-e-mai kufr hai ai 'rāz' mire mashrab meñ
ain īmāñ hai sar-e-sāġhar-o-mīnā karnā