Raz Chandpuri

ek KHanuman-KHarab ki daulat kahen jise

Raz Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1892
ik ḳhānumāñ-ḳharāb kī daulat kaheñ jise
vo dard dil meñ hai ki mohabbat kaheñ jise
rānā.ī-e-ḳhayāl ke qurbān jā.iye
sūrat hai vo nazar meñ haqīqat kaheñ jise
dard-e-firāq-e-yār kī majbūriyāñ bajā
itnā to ho na shor qayāmat kaheñ jise
de saktā ho to de mujhe dād-e-sitam-kushī
yā vo sulūk kar ki adāvat kaheñ jise
lazzat-kash-e-nazāra hai terī nazar to kyā
itnī to be-ḳhudī ho ki hairat kaheñ jise
baaqī kahāñ se 'rāz' zamāne meñ āj-kal
vo husn-e-dil-navāz mohabbat kaheñ jise
Top Urdushayar.com