Raz Chandpuri

dil ko harif-e-gardish-e-dauran kiye hue

Raz Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1892
dil ko harīf-e-gardish-e-daurāñ kiye hue
baiThā huā huuñ ziist kā sāmāñ kiye hue
ab mushkilāt-e-rāh-e-mohabbat kā zikr kyā
ik umr ho ga.ī inheñ āsāñ kiye hue
piitā huuñ roz piitā huuñ talḳhāba-e-umīd
ehsās-e-lutf-e-sāqī-e-daurāñ kiye hue
bahlā rahā huuñ dil ko fareb-e-ḳhayāl se
ummīd-e-ġham-gusārī-e-yārāñ kiye hue
but-ḳhāna-e-majāz se guzrā huuñ bārhā
ḳhuddārī-e-nigāh numāyāñ kiye hue
ab jā rahā huuñ jānib-e-mai-ḳhāna-e-muġhāñ
sad-ehtirām-e-hazrat-e-yazdāñ kiye hue
achchhā to aaj sair-e-ḳharābāt hī sahī
lekin ḳhayāl-e-talḳhī-e-daurāñ kiye hue
baiThe hue haiñ bāda-kashān-e-vafā ḳhamosh
ehsās-e-talḳh-kāmi-e-yārāñ kiye hue
dekho vo jā rahe haiñ harīfān-e-tez-gām
azm-e-tavāf-e-manzil-e-jānāñ kiye hue
ahbāb-e-ḳhush-mazāq kā ehsān hai ye 'rāz'
muddat huī thī dil ko ġhazal-ḳhvāñ kiye hue
Top Urdushayar.com