Raz Chandpuri

nigah-e-shauq waqf-e-husn-e-fitrat hoti jati hai

Raz Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1892
nigāh-e-shauq vaqf-e-husn-e-fitrat hotī jaatī hai
tabī.at mahram-e-rāz-e-mohabbat hotī jaatī hai
numāyāñ shoḳhī-e-rañg-e-tabī.at hotī jaatī hai
ki har kāfir adā se ab mohabbat hotī jaatī hai
mohabbat aah kyā shai hai mohabbat kyā kahūñ tum se
mujhe ma.alūm dil kī qadr-o-qīmat hotī jaatī hai
mirā zauq-e-parastish hai judā saare zamāne se
mohabbat kartā jaatā huuñ ibādat hotī jaatī hai
maiñ jitnā ġhaur kartā huuñ nizām-e-bazm-e-hastī par
isī nisbat se zāhir ab haqīqat hotī jaatī hai
jafā-e-charḳh kaj-buniyād ko rāhat samajhtā huuñ
dalīl-e-rāh-e-irfāñ har musībat hotī jaatī hai
qayāmat hai ki arbāb-e-mohabbat uThte jaate haiñ
nazar vāloñ se ḳhālī bazm-e-fitrat hotī jaatī hai
vatan vāloñ se koī kaash kah de 'rāz' ye jā kar
bahār-e-zindagānī nazr-e-ġhurbat hotī jaatī hai
Top Urdushayar.com