dil nahīñ pahlū meñ dard-e-dil nahīñ
aah ab jiine kā kuchh hāsil nahīñ
sard hai hañgāma-e-bazm-e-jahāñ
maiñ nahīñ to garmī-e-mahfil nahīñ
aarzū jab thī hazāroñ the harīf
ab koī bhī ġham-gusār-e-dil nahīñ
ai nigāh-e-shauq tū dhokā na de
vo to hai hadd-e-nazar sāhil nahīñ
'rāz' mil jaatī hai fikroñ se najāt
shā.irī kā aur kuchh hāsil nahīñ