Mohammad Ali Jauhar

hum maani-e-hawas nahin ai dil hawa-e-dost

Mohammad Ali Jauhar

Rampur, Uttar pradesh, India

1878-1931
ham ma.ani-e-havas nahīñ ai dil havā-e-dost
raazī ho bas isī meñ ho jis meñ razā-e-dost
tuġhrā-e-imtiyāz hai ḳhud ibtilā-e-dost
us ke baḌe nasīb jise āzmā.e dost
yaañ jumbish-e-mizha bhī gunāh-e-azīm hai
chup-chāp dekhte raho jo kuchh dikhā.e dost
miltī nahīñ kisī ko sanad imtihāñ baġhair
dār-o-rasan ke hukm ko samjho silā-e-dost
yāqūb par fuzūl hue log ḳhanda-zan
yaañ lā-makāñ se aatī hai bū-e-qabā-e-dost
kyā kam thā hijr-e-yār hī phir us pe rashk-e-ġhair
dushman ko bhī ḳhudā na kare mubtalā-e-dost
hai ruuh bhī nisār badan bhī nisār-e-yār
dil bhī fidā-e-dost jigar bhī fidā-e-dost
'jauhar' vo sabr aap hī degā agar hameñ
hai imtiyāz-e-vāda sabr-āzmā-e-dost
Top Urdushayar.com