Dar nahīñ mujh ko gunāhoñ kī girāñ-bārī kā
terī rahmat hai sabab merī subuksārī kā
daar ne ik sag-e-duniyā ko ye baḳhshā hai uruuj
hai farishtoñ meñ bhī charchā mirī dīñ-dārī kā
dil o jaañ sauñp chuke ham tujhe ai jān-e-jahāñ
ab hameñ ḳhauf hī kyā apnī giraftārī kā
jaan bhī chiiz hai koī ki rakheñ tum se dareġh
paas itnā bhī na ho rasm-e-vafādārī kā
sāqiyā sab ko tirī ek nazar kaafī thī
thā kise hosh tire ahd meñ hushyārī kā
maiñ fidā aaj bhī ho jaa.e vahī ek nigāh
ḳhātma ho kahīñ is daur kī ḳhuddārī kā
āshiqoñ ke liye hai daar hī dāru-e-shifā
ishq kī tib meñ davā naam hai bīmārī kā
ajal istāda hai bālīñ pe marīz-e-ġham-e-ishq
aañkh to khol zarā vaqt hai bedārī kā
'jauhar' aur hājib o darbāñ kī ḳhushāmad kyā ḳhuub
arsh o kursī pe guzar hai tire darbārī kā