qaid aur qaid bhī tanhā.ī kī
sharm rah jaa.e shakebā.ī kī
sūjhtā kyā hameñ un āñkhoñ se
shart thī qalb kī bīnā.ī kī
dar-e-but-ḳhāna se baḌhne hī na paa.e
garche ik umr jabīñ-sā.ī kī
qais ko nāqa-e-lailā na milā
go bahut bādiya-paimā.ī kī
ham ne har zarre ko mahmil paayā
hai ye qismat tire sahrā.ī kī
vaqf hai us ke liye jān-e-azīz
kaabe ke ḳhādim o shaidā.ī kī
kaaba o quds meñ ghar kiyā ye bhī
ik adā hai mire harjā.ī kī
nazar aayā hameñ har chiiz meñ tū
us pe ye dhuum hai yaktā.ī kī
ishq aur jaur-e-sitamgar kā gila
had hai ai dil yahī rusvā.ī kī
ishq ko ham ne kiyā nazr-e-junūñ
umr bhar meñ yahī dānā.ī kī
kar ga.ī zinda-e-jāved hameñ
teġh-e-qātil ne masīhā.ī kī
ho na taqlīd dilā maqtal meñ
kahīñ muusā se tamannā.ī kī
na sahī teġh tajallī hī sahī
aañkh jhapke na tamāshā.ī kī
kal ko hai phir vahī zindāñ 'jauhar'
Thiik kiyā aap se saudā.ī kī