Mohammad Ali Jauhar

gila ai dil abhi se karta hai

Mohammad Ali Jauhar

Rampur, Uttar pradesh, India

1878-1931
gila ai dil abhī se kartā hai
ishq kā dam usī pe bhartā hai
jaan detā hai aish-e-fānī par
bas isī zindagī pe martā hai
rāhat-e-jāvedāñ ko bhuul gayā
koī duniyā meñ ye bhī kartā hai
ishq ban kar jiye to ḳhaak jiye
zinda vo hai jo un pe martā hai
naam par us ke sab jo de baiThā
vahī ik hai jo naam kartā hai
vaqf momin hai āzmāish-e-ishq
is meñ puurā vahī utartā hai
jis ko duniyā ne nā-murād kiyā
vahī nākām kaam kartā hai
hai musalmāñ kī bas yahī pahchān
ki faqat ik ḳhudā se Dartā hai
qaul-e-momin hai us ke fel kī sharh
vo jo kahtā hai kar guzartā hai
mutma.in rah dilā vo jān-e-jahāñ
vaada kar ke kahīñ mukartā hai
mere rañg-e-kafan kī shoḳhī dekh
yuuñ hī āshiq tirā sañvartā hai
aaj kar lo jo kar sako kal tak
kaun jiitā hai kaun martā hai
qulzum-e-ishq meñ girā so girā
us kā Duubā kahīñ ubhartā hai
is qadar ehtiyāt ai sayyād
ki qafas meñ bhī par katartā hai
vahī din hai hamārī iid kā din
jo tirī yaad meñ guzartā hai
mai-e-islām kā bhalā 'jauhar'
nashsha chaḌh kar kahīñ utartā hai
Top Urdushayar.com