tishna-lab huuñ muddatoñ se dekhiye
kab dar-e-mai-ḳhāna-e-kausar khule
tāqat-e-parvāz hī jab kho chukī
phir huā kyā gar havā meñ par khule
chaak kar siine ko pahlū chiir Daal
yuuñ hī kuchh hāl-e-dil-e-muztar khule
raat talchhaT tak na chhoḌī tab kahīñ
rāz-hā-e-bāda-o-sāġhar khule
lo vo aa pahuñchā junūñ kā qāfila
paañv zaḳhmī ḳhaak muñh par sar khule
huuñ jo kasrat hī ke qaa.il un pe kyā
rāz-e-fat.h-e-sibt-e-paiġhambar khule
rū-numā.ī ke liye laayā huuñ jaañ
ab to shāyad chehra-e-anvar khule
ab to kashtī ke muāfiq hai havā
nāḳhudā kyā der hai lañgar khule
ye nazar-bandī to niklī radd-e-sehr
dīda-hā-e-hosh ab jā kar khule
ab kahīñ TuuTā hai bātil kā tilism
haq ke uqde ab kahīñ ham par khule
ab huā hai mā-sivā kā parda faash
ma.arifat ke ab kahīñ daftar khule
faiz se tere hī ai qaid-e-farañg
baal o par nikle qafas ke dar khule
jiite jī to kuchh na dikhlāyā magar
mar ke 'jauhar' aap ke jauhar khule