tum yuuñ hī samajhnā ki fanā mere liye hai
par ġhaib se sāmān-e-baqā mere liye hai
paiġhām milā thā jo husain ibn-e-alī ko
ḳhush huuñ vahī paiġhām-e-qazā mere liye hai
ye hūr-e-bahishtī kī taraf se hai bulāvā
labbaik ki maqtal kā silā mere liye hai
kyuuñ jaan na duuñ ġham meñ tire jab ki abhī se
mātam ye zamāne meñ bapā mere liye hai
maiñ kho ke tirī raah meñ sab daulat-e-duniyā
samjhā ki kuchh is se bhī sivā mere liye hai
tauhīd to ye hai ki ḳhudā hashr meñ kah de
ye banda zamāne se ḳhafā mere liye hai
surḳhī meñ nahīñ dast-e-hinā-basta bhī kuchh kam
par shoḳhi-e-ḳhūn-e-shohdā mere liye hai
rāhil huuñ musalmān ba-sad-nāra-e-takbīr
ye qāfila ye bāñg-e-darā mere liye hai
in.aam kā uqbā ke to kyā pūchhnā lekin
duniyā meñ bhī īmāñ kā silā mere liye hai
kyuuñ aise nabī par na fidā huuñ ki jo farmā.e
achchhe to sabhī ke haiñ burā mere liye hai
ai shāfa-e-mahshar jo kare tū na shafā.at
phir kaun vahāñ tere sivā mere liye hai
allāh ke raste hī meñ maut aa.e masīhā
iksīr yahī ek davā mere liye hai
ai chāragaro chāragarī kī nahīñ hājat
ye dard hī dāru-e-shifā mere liye hai
kyā Dar hai jo ho saarī ḳhudā.ī bhī muḳhālif
kaafī hai agar ek ḳhudā mere liye hai
jo sohbat-e-aġhyār meñ is darja ho bebāk
us shoḳh kī sab sharm o hayā mere liye hai
hai zulm tirā aam bahut phir bhī sitamgar
maḳhsūs ye andāz-e-jafā mere liye hai
haiñ yuuñ to fidā abr-e-siyah par sab hī mai-kash
par aaj kī ghanghor ghaTā mere liye hai