Mohammad Ali Jauhar

be-KHauf-e-ghair dil ki agar tarjuman na ho

Mohammad Ali Jauhar

Rampur, Uttar pradesh, India

1878-1931
be-ḳhauf-e-ġhair dil kī agar tarjumāñ na ho
behtar hai is se ye ki sire se zabāñ na ho
hoñ be-hirās ye mujhe rakkheñ kisī jagah
Dar ho vahāñ ki terī hukūmat jahāñ na ho
ik tū jo mehrbāñ ho to har ik ho mehrbāñ
aur yuuñ na ho balā se koī mehrbāñ na ho
ham ko to ek tujh se do aalam meñ hai ġharaz
sab bad-gumāñ huā kareñ tū bad-gumāñ na ho
dair o haram meñ DhūñD ke sab thak ga.e use
ab kaun kah sake ki kahāñ ho kahāñ na ho
karnā hī thā harām to phir vaada kis liye
ye kyā ki mai halāl vahāñ ho yahāñ na ho
himmat na haar de koī manzil ke sāmne
parvardigār yuuñ bhī koī nā-tavāñ na ho
milne to phir chale ho mashīḳhat panāh se
qashqa kā dekho aaj jabīñ par nishāñ na ho
'jauhar' is ek dil ke liye itne mashġhale
kī hai ḳhudā kī chaah to ishq-e-butāñ na ho
Top Urdushayar.com