Mohammad Ali Jauhar

dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye

Mohammad Ali Jauhar

Rampur, Uttar pradesh, India

1878-1931
dil ko halāk-e-jalva-e-jānāñ banā.iye
is but-kade ko kāba-e-īmāñ banā.iye
tūfān ban ke uThiye jahān-e-ḳharāb meñ
hastī ko ik sharāra-e-raqsāñ banā.iye
dauḌā.iye vo ruuh ki har zarra jaag uThe
ujḌe hue vatan ko gulistāñ banā.iye
phir dījiye nigāh ko paiġhām-e-justujū
manzil se kyuuñ nazar ko gurezāñ banā.iye
āḳhir to ḳhatm hoñgī kahīñ qaid kī hadeñ
yūsuf ko aap raunaq-e-zindāñ banā.iye
phir apne dil meñ kījiye paidā koī taḌap
phir mushkil-e-hayāt ko āsāñ banā.iye
'jauhar' asīrīyoñ kī koī intihā bhī hai
āzād ik nizām-e-pareshāñ banā.iye
Top Urdushayar.com