kis se āzurda mire qātil kā ḳhanjar ho gayā
kyā huā jo aaj yuuñ jaame se bāhar ho gayā
merā shohra aaj ik aalam meñ ghar ghar ho gayā
tere hāthoñ mujh ko qātil ye mayassar ho gayā
kyuuñ nahīñ miltā abhī tak tishna-lab haiñ bāda-ḳhvār
kyā tirā sāġhar bhī saaqī jām-e-kausar ho gayā
is qadar vahshat bhī ai dast-e-junūñ kis kaam kī
tere hāthoñ merā jiinā bhī to dūbhar ho gayā
josh-e-vahshat kā irāda thā ki uryāñ hī rahe
baare mar kar ik kafan mujh ko mayassar ho gayā
us kī rusvā.ī kā bhī aayā na tujh ko kuchh ḳhayāl
kis qadar bebāk tū ai dīda-e-tar ho gayā
muzhda ai ganj-e-shahīdāñ tere bhī din phir ga.e
aaj dil-bardashta duniyā se 'jauhar' ho gayā