arsh tak jo be-ḳhatā jaatā hai ye vo tiir hai
ġhair samjhā hai ki merī aah be-tāsīr hai
ḳhūgar-e-qaid-e-vafā par khul chukā zindāñ kā raaz
jurm thī vo qaid ye us jurm kī tāzīr hai
be-gunāhī se bhī baḌh kar hai agar koī gunāh
to sazā-e-ishq pā kar ḳhajlat-e-taqsīr hai
chhoḌ merī fikr ġhāfil ro ḳhud apnī qaid par
jis ko tū zevar samajhtā hai vahī zanjīr hai
sijn o jannat donoñ ai kāfir haiñ is duniyā ke naam
vo azal se baḳht-e-momin ye tirī taqdīr hai
daar hī bantī hai ai dil zīna-e-merāj-e-ishq
ḳhvāb-e-āġhāz-e-mohabbat kī yahī tābīr hai
ho na uljhan jab junūn-e-jāma-var kāmil na ho
jab talak dāman hai ḳhār-e-dasht dāman-gīr hai
haath to hoñge qalam par nāma-bar ye bhī kahā
dil churā letī hai pahlū se ye vo tahrīr hai
pā.edārī meñ hai qasroñ se sivā kachchī sī qabr
jo qayāmat tak rahe qaa.im ye vo tāmīr hai
ḳhūn-e-nāhaq kā kisī ke shubah aur tum par magar
sīna-e-'jauhar' meñ dekho to ye kis kā tiir hai