Mohammad Ali Jauhar

KHak jina hai agar maut se Darna hai yahi

Mohammad Ali Jauhar

Rampur, Uttar pradesh, India

1878-1931
ḳhaak jiinā hai agar maut se Darnā hai yahī
havas-e-zīst ho is darja to marnā hai yahī
qulzum-e-ishq meñ haiñ nafā o salāmat donoñ
is meñ Duube bhī to kyā paar utarnā hai yahī
qaid-e-gesū se bhalā kaun rahegā āzād
terī zulfoñ kā jo shānoñ pe bikharnā hai yahī
ai ajal tujh se bhī kyā ḳhaak rahegī ummīd
vaada kar ke jo tirā roz mukarnā hai yahī
aur kis vaz.a ke juuyā haiñ urūsān-e-bahisht
haiñ kafan surḳh shahīdoñ kā sañvarnā hai yahī
had hai pastī kī ki pastī ko bulandī jaanā
ab bhī ehsās ho is kā to ubharnā hai yahī
tujh se kyā sub.h talak saath nibhegā ai umr
shab-e-furqat kī jo ghaḌiyoñ kā guzarnā hai yahī
ho na māyūs ki hai fat.h kī taqrīb shikast
qalb-e-momin kā mirī jaan nikharnā hai yahī
naqd-e-jāñ nazr karo sochte kyā ho 'jauhar'
kaam karne kā yahī hai tumheñ karnā hai yahī
Top Urdushayar.com