ḳhūgar-e-jaur pe thoḌī sī jafā aur sahī
is qadar zulm pe mauqūf hai kyā aur sahī
ḳhauf ġhammāz adālat kā ḳhatar daar kā Dar
haiñ jahāñ itne vahāñ ḳhauf-e-ḳhudā aur sahī
ahd-e-avval ko bhī achchhā hai jo puurā kar do
tum vafādār ho thoḌī sī vafā aur sahī
jis ne hañgāma adālat kā tirī dekhā hai
us gunahgār ko ik roz-e-jazā aur sahī
kishvar-e-kufr meñ kaabe ko bhī shāmil kar lo
sair-e-zulmāt ko thoḌī sī fazā aur sahī
bandagī meñ tirī sahte hī haiñ lū kī lapTeñ
chand din ke liye dozaḳh kī havā aur sahī
diin o dil jā hī chukā jaan bhī jaatī hai to jaa.e
tarkash-e-kufr meñ ik tīr-e-qazā aur sahī
rabb-e-izzat ke liye bhī koī rahne do ḳhitāb
tum ḳhudāvand hī kahlāo ḳhudā aur sahī
hukm-e-hākim na sahī marg-e-mufājāt se kam
mālik-ul-mulk pe īmāñ kī sazā aur sahī
ham vafā-keshoñ kā īmāñ bhī hai parvāna-sifat
sham-e-mahfil jo vo kāfir na rahā aur sahī