vahī log phir aane jaane lage
mire paas kyuuñ aap aane lage
koī aise se kyā shikāyat kare
bigaḌ kar jo bāteñ banāne lage
ye kyā jazb-e-dil khīñch laayā unheñ
mire ḳhat mujhe phir ke aane lage
abhī to kahā hī nahīñ maiñ ne kuchh
abhī tum jo āñkheñ churāne lage
hamāre hī aage gale ġhair ke
hamārī hī tarzeñ uḌāne lage
na ban aayā jab un ko koī javāb
to muñh pher kar muskurāne lage