Nizam Rampuri

kahiye gar rabt muddai se hai

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
kahiye gar rabt mudda.ī se hai
kahte haiñ dostī tujhī se hai
dekhiye aage aage kyā kuchh ho
dil kī harkat ye kuchh abhī se hai
us kī ulfat meñ jīte-jī marnā
fā.eda ye bhī zindagī se hai
zid hai gar hai to ho sabhī ke saath
yā na milne kī zid mujhī se hai
ḳhauf se tum se kah nahīñ sakte
dil meñ ik aarzū kabhī se hai
mujh se pūchho ho kis se ulfat hai
tum samajhte nahīñ kisī se hai
ranjish-e-ġhair se nahīñ matlab
kaam ham ko tirī ḳhushī se hai
is qadar aap ham pe zulm kareñ
is kā insāf aap hī se hai
rashk dushman na sah sakegā 'nizām'
ye bhī nā-chār apne jī se hai
Top Urdushayar.com