Nizam Rampuri

ho ke bas insan hairan sar pakaD kar baiTh jae

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
ho ke bas insān hairāñ sar pakaḌ kar baiTh jaa.e
kyā ban aa.e us ghaḌī jab vo bigaḌ kar baiTh jaa.e
tū vo aafat hai koī tujh se uThā saktā hai dil
dekh le koī jo tujh ko dil pakaḌ kar baiTh jaa.e
vasl meñ bhī us se kah saktā nahīñ kuchh ḳhauf se
duur khich kar paas se mere na maḌ kar baiTh jaa.e
dosto merī nahīñ taqsīr dil dene meñ kuchh
dil vo le kar hī uThe jab paas aḌ kar baiTh jaa.e
is ḳhushāmad se mirā kuchh mudda.ā hī aur hai
chāhte ho tum ye mere paañv paḌ kar baiTh jaa.e
us kā bal khā kar vo uThnā paas se mere ġhazab
aur ik aafat hai jo vo khich kar akaḌ kar baiTh jaa.e
muft le lete haiñ dil āshiq se apne vo 'nizām'
laakh phir māñge koī thak kar jhagaḌ kar baiTh jaa.e
Top Urdushayar.com