mujh se kyuuñ kahte ho mazmūñ ġhair kī tahrīr kā
jāntā huuñ mudda.ā maiñ aap kī taqrīr kā
saath gar sone na doge tum ko bhī niiñd aa chukī
maiñ to aadī ho gayā huuñ nāla-e-shab-gīr kā
apne matlab kī samajh kar ho ga.e the ham to ḳhush
kyuuñ mukarte ho yahī matlab hai us taqrīr kā
ahd kis kaa, aap jo kahte use sach jāntā
kyā karūñ qaa.il huuñ maiñ to ġhair kī tadbīr kā
kuchh asar un par huā to kyā hī dete haiñ fareb
kahte haiñ qaa.il nahīñ maiñ āh-e-be-tāsīr kā
ye to farmāo ki kyā us ko karūñgā maiñ muaaf
mere aage zikr kyuuñ hai ġhair kī taqsīr kā
ek din sun kar chale aa.e the vo be-sāḳhta
āsmāñ par hai dimāġh ab āh-e-be-tāsīr kā
pañja-e-ulfat se pakḌā hai use dil ne mire
sahl hai qātil koī pahlū se khiñchnā tiir kā
koshish-e-bejā thī ye kuchh e'timād-e-aql par
ab ye darja hai ki qaa.il hī nahīñ tadbīr kā
jitne sar haiñ utne saude kyā ḳhatā nāseh mirī
maiñ hī ik qaidī nahīñ us zulf-e-ālam-gīr kā
kyā kahā thā maiñ ne tum kyā samjhe is kā kyā ilaaj
tum hī munsif ho ye matlab thā mirī taqrīr kā
ye mirā likkhā ki jo tadbīr kī ulTī paḌī
aur is par bhī mujhe shikva nahīñ taqdīr kā
jazb-e-ulfat is ko kahte haiñ kahīñ paḌ jaa.e haath
zaḳhm dil par hī pahuñchtā hai tirī shamshīr kā
mujh ko us ke paas jaanā us meñ jo kuchh ho 'nizām'
ek matlab jāntā huuñ zillat o tauqīr kā