Nizam Rampuri

aur ab kya kahen ki kya hain hum

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
aur ab kyā kaheñ ki kyā haiñ ham
aap hī apne mudda.ā haiñ ham
apne āshiq haiñ apne vārafta
aap hī apne dil-rubā haiñ ham
aap hī ḳhāna aap ḳhāna-ḳhudā
aap hī apnī marhabā haiñ ham
ishq jo dil meñ dard ho ke rahā
ḳhud usī dard kī davā haiñ ham
rāz-e-dil kī tarah zamāne meñ
the chhupe aaj barmalā haiñ ham
kyuuñ na ho arsh par dimāġh apnā
kis ke kūche kī ḳhāk-e-pā haiñ ham
har koī āshnā samajhtā hai
aur yaañ kis ke āshnā haiñ ham
ibtidā kī bhī ibtidā haiñ ham
intihā kī bhī intihā haiñ ham
ham to bande 'nizām' un ke haiñ
vo bajā kahte haiñ ''ḳhudā haiñ ham''
Top Urdushayar.com