Nizam Rampuri

ye ajab tumne nikala sona

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
ye ajab tum ne nikālā sonā
raat kā jāgnā din kā sonā
baḳht-e-ḳhufta se to ummīd nahīñ
saath hogā kabhī us kā sonā
kis qadar hijr meñ behoshī hai
jāgnā bhī hai hamārā sonā
mujh se tañg aa ke ye bole shab-e-vasl
ye hī tum ho to na hogā sonā
bas dam-e-sub.h satāo na mujhe
yaad vo zid hai vo apnā sonā
le ke añgḌā.ī lipaT jaanā haa.e
haa.e vo saath kisī kā sonā
aap karvaT to idhar ko lījiye
jāntā huuñ maiñ tumhārā sonā
sar kahīñ haath kahīñ paañv kahīñ
ye na.ī dhaj hai nirālā sonā
phir shab-e-vasl ho phir ho yā-rab
jāgnā merā aur un kā sonā
āñkheñ phūTeñ jo jhapaktī bhī hoñ
shab-e-tanhā.ī meñ kaisā sonā
vo khulī aañkh vo lab par hai hañsī
ham nahīñ mānte aisā sonā
raat āñkhoñ meñ guzar jaatī hai
in dinoñ hai ye hamārā sonā
haa.e vo vasl kī shab kā aalam
haa.e vo pichhle pahar kā sonā
kyā lage aañkh jo yaad aa.e 'nizām'
rakh ke zaanū pe sar us kā sonā
Top Urdushayar.com