Nizam Rampuri

haal-e-dil tum se meri jaan na kaha kaun se din

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
hāl-e-dil tum se mirī jaañ na kahā kaun se din
mere kahne ko bhalā tum ne sunā kaun se din
lazzateñ vasl kī kuchh maiñ ne bayāñ kiiñ to kahā
aap ke vāste din aisā huā kaun se din
jab kahā maiñ ne vo kyā din the jo milte the tum
ho ke anjān ajab Dhab se kahā kaun se din
vasl kī shab hai milo aaj to dil khol ke ḳhuub
ai mirī jaan ye jā.egī hayā kaun se din
rashk-āmez jo kuchh maiñ ne kahā to bole
ġhair ke saath mujhe dekh liyā kaun se din
har ghaḌī dil meñ rahā ḳhauf bigaḌ jaane kā
tere milne meñ mazā ham ko milā kaun se din
kaun sā din hai jo bechain nahīñ ho ke 'nizām'
be-qarārī se na us dar pe gayā kaun se din
Top Urdushayar.com