vo aise bigḌe hue haiñ ka.ī mahīne se
ki jaañ pe ban ga.ī tañg aa gayā maiñ jiine se
hue numūd jo pistāñ to sharm khā ke kahā
ye kyā balā hai jo uThtī hai mere siine se
vo duur khiñch ke shab-e-vasl us kā ye kahnā
koī udhar hī ko baiThā rahe qarīne se
jo bosa dete haiñ to lab bachāte haiñ lab se
lipaTte bhī haiñ to siina churā ke siine se
vo saath sonā kisī kā vo garm-joshī haa.e
namī vo jism kī cholī vo tar pasīne se
ḳhushī yahī hai ki ik din to ġham se chhūTeñge
na maut aa.e to kyā hāsil aise jiine se
vo nīchī nīchī nigāhoñ se dekhnā mujh ko
vo pyaar takiye ko karnā lagā ke siine se
yahī vo raah hai jo dil se dil ko hotī hai
husūl kaun sā chāk-e-jigar ke siine se
maiñ aur kuchh nahīñ kahtā magar ye sun rakhiye
adū kā dil hai labālab hasad se kiine se
ḳhudā kī shaan hai ye baat aur muñh un kā
'nizām' phir karūñ tauba sharāb piine se