shab to vo yaañ se ruuTh ke ghar jā ke so rahe
ham tañg aa ke jaan se kuchh khā ke so rahe
pahle to kuchh vo aate hī sharmā ke so rahe
phir lutf uThe jo ham unheñ chauñkā ke so rahe
kyā maiñ shab-e-visāl meñ ghaḌiyāñ ginā karūñ
karvaT badal ke kyuuñ mujhe chauñkā ke so rahe
apnī kahī na merī sunī shaam hī se vo
siina chhupā ke hāthoñ se sharmā ke so rahe
kuchh merī jāñ-kanī kā na aayā tumheñ ḳhayāl
mujh ko na saath sone ko farmā ke so rahe
ham baiThe āñkheñ dekhte haiñ muñh ko takte haiñ
bātoñ meñ vo to Taal ke bahlā ke so rahe
mujh ko uThā ke nīchī nigāhoñ se dekh kar
kuchh dil meñ soch soch ke pachhtā ke so rahe
un se shab-e-visāl meñ hujjat jo baḌh ga.ī
kuchh dil meñ soch soch ke pachhtā ke so rahe
ham kyuuñ batā.eñ ham ne bhī kī sub.h jis tarah
shab tum to jāgne kī qasam khā ke so rahe
ai baḳht-e-ḳhufta! itnī hī tāsīr tū dikhā
us kī galī meñ paañv mirā jā ke so rahe
tā-sub.h mujh ko maare ḳhushī ke na aa.ī niiñd
ik aisī baat vo mujhe samjhā ke so rahe
ai dil ye kyā huā tirī bātoñ ne kyā kiyā
muñh pher ke udhar ko vo tañg aa ke so rahe
sotoñ meñ jaan Daal ke añgḌā.iyāñ na lo
jaage hue ho shab ke jo yaañ aa ke so rahe
ik dam ko chaukūñ shauq se phir so.uuñ sub.h tak
is baat ko zabān hī par lā ke so rahe
ye chheḌ dekho mere na sone ke vāste
andāz ik nayā mujhe dikhlā ke so rahe
ummīd ḳhvāb meñ bhī na yuuñ dekhne kī thī
jis pyaar se vo shab mujhe lipTā ke so rahe
chhoḌā hai maiñ ne raat na ghar jaane ko unheñ
jab kuchh na bas chalā to vo jhunjhlā ke so rahe
maiñ sone dūñgā aap ko kab chain se bhalā
hai ye to ḳhuub tum mujhe phuslā ke so rahe
achchhā maiñ paañv dābūñ pa tum jāgte raho
yuuñ kaun maane hai mujhe bahlā ke so rahe
kyā sone jāgne kā nahīñ ham ko imtiyāz
karvaT badal ke aap jo machlā ke so rahe
hai kaun sī vo shab jo sahar tak na jaage ham
kis din na aap ġhair ke ghar jā ke so rahe
hai baḳht-e-ḳhufta aur shab-e-tanhā.ī aur ham
jāgeñ nasīb saath jo vo aa ke so rahe
manzūr thā ghaTānā jo ishrat kī raat kā
choTī vo apnī mujh se hī bandhvā ke so rahe
furqat kī shab meñ jāgne se fā.eda 'nizām'
behtar hai is se gar koī kuchh khā ke so rahe