Nizam Rampuri

kabhi milte the wo humse zamana yaad aata hai

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
kabhī milte the vo ham se zamāna yaad aatā hai
badal kar vaz.a chhup kar shab ko aanā yaad aatā hai
vo bāteñ bholī bholī aur vo shoḳhī naaz o ġhamza kī
vo hañs hañs kar tirā mujh ko rulānā yaad aatā hai
gale meñ Daal kar bāñheñ vo lab se lab milā denā
phir apne haath se sāġhar pilānā yaad aatā hai
badalnā karvaT aur takiya mire pahlū meñ rakh denā
vo sonā aap aur merā jagānā yaad aatā hai
vo sīdhī ulTī ik ik muñh meñ sau sau mujh ko kah jaanā
dam-e-bosa vo terā ruuTh jaanā yaad aatā hai
tasallī ko dil-e-betāb kī merī dam-e-ruḳhsat
na.ī qasmeñ vo jhūTī jhūTī khānā yaad aatā hai
vo rashk-e-ġhair par ro ro ke hichkī merī bañdh jaanā
fareboñ se vo terā shak miTānā yaad aatā hai
vo merā chauñk chauñk uThnā sahar ke ġham se aur terā
lagā kar apne siina se sulānā yaad aatā hai
kabhī kuchh kah ke vo mujh ko rulānā us sitamgar kā
phir āñkheñ nīchī kar ke muskurānā yaad aatā hai
Top Urdushayar.com